Google apne security ko le kar bahot serious rahta hai aor apne users ka khyal rkhte huye full protection deta hai jisase uske users ke account ko koi hack na kr sake fir bhi aaj kuchh secure nahi hai to aap is wahem me na rahe ki aapka account bilkul save hai. just follow some rules and Secured your account.
Gmail Account Ki Security Kaise badhaye.
ham kabhi kabhi apne friends k mobile ya laptop me ya fir cyber cafe me apne gmail se log in ho jate hai,aor fir email pdne k baad apn log out krna bhul jate hai, jisase aap ka account koi hacker to hack nhi kar rha lekin aapne aisi galti kar di jisase aap jis mobile/taptop pe log in huye the and log out krna bhul gaye to ab us mobile/taptop ko next person use karega to aap ke account k email ko pad sakta hai,and email sand bhi kar sakta hai.
kabhi kabhi to apne ghar k taptop me jo sab me shared hota hai use log in krke log out karna bhul jate hai aor ham kai devices me log in ho jate hai, to aise ham ye bhi bhul jate hai ki ham kis kis mobile me ya laptop me apne gmail se login hai agar aap k sath aisa kuchh huaa tha ya hota hai to apko jyada paresan hone ki jarurat nahi na hi jis jis mobile/laptop me aap login the uski jarut padegi ki mil jaye to mai is mobile/laptop se log out ho jau iski sab ki apko koi jarurat nhi padegi aap apne hi mobile/laptop se ek sath sare mobile/laptop se log out ho sakte hai,and dekh bhi sakenge ki apka gmail account last time kab dekha gaya tha.
"To chaliye jaan lete hai ki aapka gmail account last time kab check kiya gaya tha ,,
LAST TIME ACCOUNT ACTIVITY
Agar aap apne account ka last activity dekhna chahte hai to iske liye ek feature hai jiska naam hai "last account activity"
Sabse pahle aap gmail account me log in kar li jiye.
Jab log in ho jayenge to ek page khulega jo normally gmail me log in hone se khulta hai.
Ab aap k footer/niche me jaye janha pe likha hoga Last account activity.
Wanha pe aapko ek option details ka milega ab aap uspe click kare click karne k baad kuchh is tarah ek page open hoga.
Aap yanha dekh payenge ki apka gmail kab kanha open huaa tha recent activity ka pura chart aa jayega and sari details yanha se pa sakte hai recent activity apne gmail account ka puri details pa sakte hai.
How to sign out your gmail account all other sessions
Agar aap apne gmail se ek sath kai devices me log in hai aor aap chahte hai ki abhi aap k pass jo device hai ise chhod k aor sare devices se apka gmail account log out ho jaye to iske liye bhi ek feature hai.
"Sign out all other sessions" aap is feature ka use karke other devices se log out ho sakte hai and aap apne gmail ka password badal sakte hai.
Sign out all other web sessions pe click kare is button pe aap kerenge to aap sare devices se log out ho jayenge.
How to know any one trying to log in in your gmail
Manlo apka phone kisi k pass hai aor wo apka gmail dekhne ki kosis karta hai to unhe password dalna padega aor wo bina password k access nahi kar pyenge.
Agar koi apke gmail me log in krta hai to kya aap jaan payenge yes you can know iske liye sabse pahle aap apne gmail me log in kar k apna recovery e-mail address and apna mobile number dale.
Ab aap is link ko open kre.
Ab jo page open hoga usme ek option "account recovery option" ka hoga.
Agar aap apna password bhul gaye hai to ise fill up kar denge to jo e-mail dalenge uspe password bheja ja sakta hai.
Recovery phone ka option hoga usme apna phone number dal kar k apna account aur bhi secure kar sakte hai.
Jb aap recovery phone pe click karnge to apka password puchhega password dalne k baad phone recovery ka option aa jayega aor apna phone number dal kar ke continue k button pe click kar de.
Ab apne e-mail ki setting me ja kar k security alert laga sakte hai.
Security alert agar aap laga denge to agar koi suspicious activity hoti hai, ya fir koi gatividhi aap k gmail pe hoti hai, to apko message send kar diya jayega.
Agar aap chahte hai ki aap ki gmail ki notification apko sms dwara mile to aap (sign in and security) me ja kar device management & notification pe jb click karenge to ek new page open hoga usme apko ek option (security alert) ka milega.
yaha par aap manage setting par kar de to new page ( security alert setting ) ka open ho jayega to aap yanha choose kar sakte hai ki apko kaon message kanha mile.
Some still step to secure your gmail
- Check viruses and malware
Apne system ko kisi trusted anty-viruses se scan kare aor agar usame koi viruses and malware attack huaa ho to immediately remove kar de.
- Apne account ki security check kare
Sabse pahle aap My Account Page ko open kre.isme aap "Security Checkup"select kare iske baad screen par jo instruction aye use follow Kare.
- Apne recovery option ko update kare
- Apne gmail ka password kisi ko bhi email dwara na bheje.
- Use strong password
Apne password me low character na use kare apne gmail ka password strong character use kare jaise 123abc$#@ number later symbol tino ko milakar ek strong password bnaye.
I hope ye post apko samajh aa gayi hogi agar koi sawal wa sujhao ho to hame jarur comment karke bataye agar apko post achhi lagi hoto apne friends ko jarur share kare.
comment 0 Comments
more_vert